Friday 3 January 2014

Bila Unwaan

kr bethay gunah anjanay main muhabbat ka
na tha idraak k radd hojaiga sawal muhabbat ka

pohnchay jo darr pe usky kashkol phailaye muhabbat ka
tha armaan k pura hojaye dil main basa arman muhabbat ka

hua khoon isi rastay per meri muhabbat ka
na hua sawal pura kbi meri muhabbat ka

tha damm e marg girya kuna sayil muhabbat ka
jaraha hu tahi damaan liye sawal honton pr muhabbat ka